Monday, September 15, 2014

Meri Kahaani


Likhte hai kitaab.. log apni kahaani duniya ko sunaane ko..
Maine To poori zindagi tere naam kar di...bas tera naam hai gungunaane ko..
Baanti har khushi tujhse...har dua mein tera naam liya...
Chupaya har dukh tujhse..par tere Siva koi na unhe mita paaya..
Jaata hoon jaha, tera pyar mehsoos krta hoon..
Zindagi k har mukaam k piche tere duwaon ka asar paata hoon...

Teri goad mein sir rakh kar apne sapno ko sunaya krta tha..
Tere paero k phati aediyon par malham lagaya krta tha...
Teri chumban k bina mjhe neend nahi aati thi...
Jo kabhi ho jaaye tu nazron se door..
Apne aansu nahi rok paaya krta tha..

Bada ho gaya hoon ab..isme meri koi galti nahi...
Warna bachpan k vo din aaj bhi mann se nikalte nahi...
Rehta hoon tujhse door, par dil k sbse kareeb hoon tera...
Aaj bhi meri din teri awaaz sune bina dhalti nahi...
Zindagi ki bhaag daud mein thoda ulajh zaroor gaya hoon...
Par tera khayal rooh se nikal jaaye, ye kabhi bhi mumkin nahi...

Teri Surat mein bhagwaan ka roop dikhta hai...
Maine pattharon ko nahi, tujhe mere sapno ko poora karte hue dekha hai...
Log zikr karte hai jannat ki khoobsurti ki..
Mujhe to vo sb tere paero k niche dikhta hai...

Mai hoon ek kitaab... Jiski sihaayi bhi tu... Lekhak bhi tu...
MAA....
Meri har Jeet ka haqdaar hai tu...

                                   Written On : 13/09/2014

6 comments: