Sunday, January 11, 2015

Ek Apna sa Ajnabi...

Door ho kar bhi kuch log yaad rakhte hai,Paas ho kar bhi kuch anjaan bante hai...
Khaate hai kasme hazaaron ek pal mein...
Par todne se pehle ek baar bhi na sochte hai...

Door baitha ek yaar har din hichkiyaan deta hai,
Paas se guzarta dost ek muskaan bhi na de paata hai...

Khata hui mujhse ya raaste alag ho gaye,
Saath bitaaye har suhaane lamhe aaj ateet kyun ban gaye...

-----------------------------------------------------------------------------------

Chod aaya kahi door tujhe,
meri bhi majboori thi...
Dekha na mud kar dobara kabhi,
meri bhi majboori thi...

Thaama tha haanth tera, zindagi bhar saath chalne ko...
Adhoore safar se laut aaye hum,
meri bhi majboori thi...

Khata hui hai mujhse, Sazaa bhi dena tu...
par wajah kabhi na poochna mujhse,
meri bhi majboori thi...

-----------------------------------------------------------------------------------

Na iraada tha kuch khone ka, na socha tha kuch paaunga...
uske saath beetay us shaam ko kabhi na bhool paaunga...

aankhon mein timtimaate taare, labon pe ek khaamosh si hasi...
mil rahe the pehli baar hum, jhoom rahi thi duniya saari...

Aakhri tha vo din saal ka, saal ki aakhri rangeen shaam thi vo...
khoobsurat thi har baat us lamhe ki, kyunki har pal mere saamne thi vo...


------------------------------------------------------------------------------------

aankho ko moonde so rahi hogi woh
anjaan mujhse , sapne dekh rahi hogi vo...
Aksar neend se jaag jaaya karegi..
qki meri yaadon mein aa rahi hai vo... <3 :)

---------------------------------------------------------------------------------
Tujhe paane ki chah nahi,
bas dobara milne ki khwahish thi...
Pehli mulakaat jo reh gayi thi adhuri,
mukhtasar us deedaar ko puri karne ki guzaarish thi...

Click here to Follow A Random Dream on Facebook    

No comments:

Post a Comment