Monday, December 24, 2018

Teen Yaar

Safar behtareen hai...
yaar bhi hum teen hai...
kehne ko teen bilkul alag fitrat, 
par ek doosre k bahut kareeb hai...

Ladte jhagadte wakt yun hi guzar jaata hai,
din mein teen chaar gaali na de,
toh neend nahi aata hai...

Nafrat aur pyar ek saath jataate hai,
Mushkil ki ghadi mein yehi kameenay kaam aate hai...

Rooth jaaye toh sir aasmaan mein le k jhagad jaaye, 
par kambakht ek cup chai mein maan bhi jaate hai...

Ghar se door ab yehi apna ghar lagta hai, 
In dono k saath hi ab mera mann lagta hai...
Ek din alag ho jayenge,
Bas  isi baat se ab darr lagta hai...

Wednesday, December 19, 2018

Mera Mann

"Our Minds  are like forests, filled with wild dreams and breezy memories..."

Jungle sa hai mann mera,
kae saare sapne , jaise kae saare jaanwar...
jeetay hai sab ek saath,
aksar ek doosron ko maar kar...

Us jungle k beechon beech ek khula maidaan hai, 
ek choti si talaab aur khula aasmaan hai...

Leta rehta Hoon mai wahi aasmaan ki taraf dekh Kar,
Laakhon taare hai, par nazar meri sirf Chaand par...

Ek sher hai jungle mein, jise mai Raja samajhta raha, 
par meri Chaand se baatein sirf Bhediya karta raha...
Raaste bahut hai manzil paane ko, 
par mai hamesha mushkil sadak hi chunta raha...

Baatein karti hai darakht bhi mujhse hawaon k zariye, 
Har jhonke mein ek khushbu , aur har khushbu se judi ek puraani yaad k zariye...

Jab kabhi mann mein toofaan aata hai, 
har jaanwar talaab ki taraf dauda aata hai...
kuch samajh nahi aata mujhe un sab ko ek saath dekh kar, 
Hawaon se mera kadam ladkhada jaata hai...

Us pal sab bhediye Chaand ki taraf dekh use pukaarte hai, 
unhe sun kar saare jaanwar shaant ho jaate hai,
Himmat aati hai mujhme bhi thodi,
toofaan aur hawayein kuch pal mein thamm jaate hai...

Sab waapas jungle mein ghus jaate hai, 
tanhai mein mujhe chod jaate hai...
sukoon k kuch pal jo ab mile hai mujhe, 
bas inhi palon mein mujhe neend aate hai...




Written on 19th December 2018 - 23:00